Ya Nabi salamun alaika Ya Rasul salamun alaika Ya Habib salamun alaika salawatullahi alaika
Aaj woh tashreef laya jis ne rotun ko hansaya Jis ne jaltun ko bujhaya jis ne bigrun ko banaya
Arsh-e-Azam ka sitara farsh walun ka sahara Aminah Bi ka dulara Haq Ta'ala ka woh pyara
Do jahan ka raaj wala takht wala taj wala Be-kasun ki laaj wala sari dunya ka ujala
Tum bahar-e-bagh-e-alam tum naveed-e-ibn-e-Maryam Tum pe qurbaan sara alam Adam-o-aulad-e-Adam
Tum bina-e-dosara ho Ka'bah wale ki dua ho Tum hi sab ke mudda'a ho jaan na kyun tum par fida ho
Aap hain wahdat ke mazhar aap hain kasrat ke masdar Aap awwal aap aakhir qibla-e-dil aap ka dar
Aap ke ho kar jiyen hum naam-e-nami pe maren hum Jab qayamat mein uthen hum arz is tarah karen hum
Arz hai Salik ki Aaqa jaan-kuni ka ho yeh naqsha Samne ho pak roza aur labun par ho yeh kalma





