Jinhein khalq kehti hai Mustafa mera dil unhein pe nisaar hai Mere qalb mein hain woh jalwa gar keh Madinah jin ka dayaar hai
Hai jahan mein jinki chamak damak hai chaman mein jinki chehal pehal Woh hi ik Madinah ke chand hain sab unhein ke dam ki bahaar hai
Woh jhalak dikha ke chale gaye mere dil ka chain bhi le gaye Meri rooh saath na kyun gayi mujhe ab to zindagi baar hai
Wohi maut hai wohi zindagi jo Khuda naseeb kare mujhe Ke mare to un hi ke naam par jo jiye to un pe nisaar hai
Woh hai aankh jis ke yeh noor hain woh hai dil yeh jis ke suroor hain Woh hi tan hai jis ki yeh rooh hain woh hai jaan jo un pe nisaar hai
Jo karam se apne Shah-e-Umam rakhein mujh ghareeb ke ghar qadam Mere Shah ki na ho shaan kam keh gada par un ka to pyaar hai
Wale is ghareeb ka khum kadah bane rashk-e-khuld-e-bareen Shaha Kare naaz apne naseeb par bane Shah woh jo ganwaar hai
Dam-e-naz’a Salik-e-be-nawa ko dikhana shakal-e-Khuda-numa Ke qadam pe aap ke nikle dam bas isi pe daaro-madaar hai





