Zairo paas-e-adab rakho hawas jaane do Aankhein andhi hui hain un ko taras jaane do
Sookhi jaati hai umeed-e-ghurba ki kheti Boondiyan lekh-e-rehmat ki baras jaane do
Palti aati hai abhi wajd mein jaan-e-shireen Naghma-e-qum ka zara kaanon mein ras jaane do
Hum bhi chalte hain zara qaafile waalo! thehro Gathriyan tosha-e-umeed ki kas jaane do
Deed-e-gul aur bhi karti hai qayamat dil par Humsafiro hamein phir su-e-qafas jaane do
Aatish-e-dil bhi to bhadkaao adab daan naalo Kaun kehta hai ke tum zabt-e-nafs jaane do
Yun tan-e-zaar ke darpaye hue dil ke sholo Shewa-e-khaana bar-andazi-e-khas jaane do
Aye Raza aah ke yun sahl katein jurm ke saal Do ghadi ki bhi ibaadat to baras jaane do





