Zahe sharaf, meharban hain kis qadar mere haal par Muhammad ﷺ Lutayen ashrafiyan rehmaton ki gareeb aamaal par Muhammad ﷺ
Kabhi yahan ki kabhi wahan ki karen sadarat woh do jahan ki Dikhayi dete hain farsh-o-arsh-e-bareen ke pindaal par Muhammad ﷺ
Hawayen us se lipat ke jhoomein bulandiyan us ke paun choomein Jo ik uchat'ti nigah daalein kisi ke iqbaal par Muhammad ﷺ
Lahoo badan ka gire zameen par shikan na aaye magar jabeen par Ghaneem-e-jaan ke bhi daar rokein duaon ki dhaal par Muhammad ﷺ
Nazar jamal-e-Huzoor dekhe toh ek amboh-e-noor dekhe Nisar har ek aaina aap ke khado-khaal par Muhammad ﷺ
Huye jo Meraj ko rawana toh ruk gayi gardish-e-zamana Kise khabar saba ke rahe markab-e-mah-o-saal par Muhammad ﷺ
Karoon jo rozay ki khak-robi toh rang laye yeh kaar-e-chobi Azal ke din se kadha hua hai hayat ki shaal par Muhammad ﷺ
Na is jahan ko jawab doonga na us jahan mein hisab doonga Ke khud ko main kharch kar raha hoon tumhare aqwal par Muhammad ﷺ
Ajeeb si pur-sukoon lehrein wajood ke saahilon pe thehrein Durood bhejoon jo aap par aur aap ki aal par Muhammad ﷺ
Malaika bhi mujhe Muzaffar pukar uthein ge raees-e-mahshar Karen ge jis waqt apna saya mujh jaise kangal par Muhammad ﷺ





