Yun Jamal-e-ru-e-jaana sham-e-khalwat-khana tha Dil hamara gharq-e-aatish surat-e-parwana tha
Ik jamal-e-be-takalluf jalwa-e-jaanana tha Aankh jis janib uthi, har zarra hairat-khana tha
Soz se khali jigar tha, gham se dil begana tha Ishq mein hum ne woh dekha jo kabhi dekha na tha
Jab haqeeqat se utha parda to yeh uqda khula Khwab tha, wahm-e-dui zakhm-e-khudi, afsana tha
Wasl mein gunjaish-e-aghyar itni bhi na thi Chashm-o-gosh-o-hosh har apna wahan begana tha
Le ke hum se deen-o-dil, aql-o-khirad bola koi Yeh to rah-o-rasm-e-ulfat ka faqat bayana tha
Khana-e-Laila mein thay jannat ke asbab-e-nishat Qais ke hissay mein ta-hadd-e-nazar veerana tha
Zindagi ke hamsafar thay naz'a mein bhi dil ke paas Be-kasi thi, yaas thi, arman thay, kya kya na tha
Woh bhi kya din thay ke Peer-e-maikada ke ishq mein Yeh jabeen-e-shauq thi, sang-e-dar-e-maikhana tha
Faisla dete hue woh barh gaye had se Naseer Main sazawar-e-saza to tha, magar itna na tha





