Sune kaun qissa-e-dard-e-dil mera gamsaar chala gaya Jise aashnaon ka paas tha, woh wafa-sha'aar chala gaya
Wohi bazm hai wohi dhoom hai, wohi aashiqon ka hujoom hai Hai kami toh bas mere chaand ki, jo teh-e-mazaar chala gaya
Woh sukhan-shanaas woh door-been, woh gada-nawaaz woh mah-jabeen Woh haseen woh bahr-e-uloom-e-deen, mera taajdaar chala gaya
Kahan ab sukhan mein woh garmiyan ke nahi raha koi qadr-daan Kahan ab woh shauq mein mastiyan ke woh pur-waqar chala gaya
Jise main sunata tha dard-e-dil woh jo poochta tha gham-e-daroon Woh gada-nawaaz bichhad gaya, woh ata-sha'aar chala gaya
Yahin kyun Naseer na ashk-e-gham, rahe kyun na lab par mere fughaan Hamein be-qaraar woh chhod kar sar-e-rah-guzar chala gaya





