Un ke andaaz-e-karam un pe woh aana dil ka Haaye woh waqt woh baatein woh zamana dil ka
Na suna us ne tawajjah se fasana dil ka Zindagi guzri magar dard na jana dil ka
Kuch nayi baat nahi husn pe aana dil ka Mashghala hai yeh nihayat hi purana dil ka
Woh mohabbat ki shuruat woh bethah khushi Dekh kar un ko woh phoolay na samana dil ka
Dil lagi dil ki lagi ban ke mita deti hai Rok dushman ko bhi ya Rab na lagana dil ka
Huay to mere muqaddar ko bigara us ne Aur phir us pe ghazab hans ke banana dil ka
Mere pehlu mein nahi aap ki mutthi hain nahi Be-thikane hai bohat din se thikana dil ka
Woh bhi apne na huay dil bhi gaya hathon se Aisay aanay se to behtar tha na aana dil ka
Khoob hain aap bohat khoob magar yaad rahay Zaib deta nahi aeson ko satana dil ka
Be-jhijhak aa ke milo hans ke milao aankhein Aao hum tum ko sikhatay hain milana dil ka
Naqsh bar-aab nahi wahm nahi khwab nahi Aap kyun khel samajhtay hain mitana dil ka
Hasratein khaak huin mit gaye arman saaray Lut gaya koocha-e-janan mein khazana dil ka
Le chala hai mere pehlu se ba-sad shauq koi Ab to mumkin nahi laut ke aana dil ka
Un ki mehfil mein Naseer un ke tabassum ki qasam Dekhtay reh gaye hum haath se jaana dil ka





