We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Chashm o Dil Ka Chain Dono

Peer Naseer ud Din Naseer

Ya Nabi ﷺ salamu alaika, Ya Rasul salamu alaika Ya Habib salamu alaika, salawatu Allah alaika


Chashm-o-dil ka chain dono, rooh-e-mashriqain dono Shah ﷺ ke noor-e-ain dono hain Hasan ؑ Husain ؑ dono


Ya Nabi ﷺ salamu alaika, Ya Rasul salamu alaika Ya Habib salamu alaika, salawatu Allah alaika



More Lyrics, Less Storage - Install the App and Ditch the Screenshots!

Get it on Google Play


Bekason ka aasra hain, na khuda hain ya khuda hain Kya nahi hain aur kya hain guftagu se mawara hain


Ya Nabi ﷺ salamu alaika, Ya Rasul salamu alaika Ya Habib salamu alaika, salawatu Allah alaika


Deen-e-Haq ki dhaal dono hain ye hai misaal dono Fatimah ؑ ke laal dono Mustafa ﷺ ki Aal ﷺ dono


Ya Nabi ﷺ salamu alaika, Ya Rasul salamu alaika Ya Habib salamu alaika, salawatu Allah alaika


Deen ka shabab hain ye hafiz-e-kitab hain ye Mehr-o-mahtab hain ye Murtaza ka khwab hain ye


Ya Nabi ﷺ salamu alaika, Ya Rasul salamu alaika Ya Habib salamu alaika, salawatu Allah alaika


Fiqh mein ik qaul-e-faisal hain Abu Hanifah ؒ awwal Baad mein un ke hain afzal, Malik-o-Idrees ؒ-o-Hanbal ؒ


Ya Nabi ﷺ salamu alaika, Ya Rasul salamu alaika Ya Habib salamu alaika, salawatu Allah alaika


Fiqh ke nizam charon, mohtaram hain naam charon Chal rahe hain jaam charon, haq pe hain imam charon


Ya Nabi ﷺ salamu alaika, Ya Rasul salamu alaika Ya Habib salamu alaika, salawatu Allah alaika


Hashr mein sab ik kinare, ummati thay dam ko mare Aa gaye jab woh, to sare dekh kar un ﷺ ko pukare


Ya Nabi ﷺ salamu alaika, Ya Rasul salamu alaika Ya Habib salamu alaika, salawatu Allah alaika


Ik jhalak jo dekh paaun, jaan main tum par lutaun Raah mein aankhein bichaun dast-e-basta phir sunaun


Ya Nabi ﷺ salamu alaika, Ya Rasul salamu alaika Ya Habib salamu alaika, salawatu Allah alaika


Shourish-e-ranj-o-alam kya, kar sake koi sitam kya Larkharayein ab qadam kya, tum jo paas ho to gham kya


Ya Nabi ﷺ salamu alaika, Ya Rasul salamu alaika Ya Habib salamu alaika, salawatu Allah alaika


Dil ko raas bhi tumhein ho gham shanaas bhi tumhein ho Dil ki aas bhi tumhein ho dil ke paas bhi tumhein ho


Ya Nabi ﷺ salamu alaika, Ya Rasul salamu alaika Ya Habib salamu alaika, salawatu Allah alaika


Rang jazb-o-haal ka do soz-e-dil Bilal ka do Rizq bhi halal ka do, sadqa apni Aal ﷺ ka do


Ya Nabi ﷺ salamu alaika, Ya Rasul salamu alaika Ya Habib salamu alaika, salawatu Allah alaika


Nisbaton se kaam lenge, ye maze ghulam lenge Jab ye un ﷺ ka naam lenge, khud woh barh ke thaam lenge


Ya Nabi ﷺ salamu alaika, Ya Rasul salamu alaika Ya Habib salamu alaika, salawatu Allah alaika


Qibla-e-roshan zamiran, tamkanat bakhsh faqiran Dast-geer-e-dastgeeran, Ghous-e-Pak peer peeran


Ya Nabi ﷺ salamu alaika, Ya Rasul salamu alaika Ya Habib salamu alaika, salawatu Allah alaika


Bagh-e-faqr ki kali hain, mazhar-e-Ghous-e-Jali hain Iftikhar-e-har wali hain, Khwaja-e-Mehr Ali hain


Ya Nabi ﷺ salamu alaika, Ya Rasul salamu alaika Ya Habib salamu alaika, salawatu Allah alaika


Man fidaye tu bejanam, juz darat dare nadanam Hai niaz-e-ein-o-aanam, khaak-bos-e-aastanam


Ya Nabi ﷺ salamu alaika, Ya Rasul salamu alaika Ya Habib salamu alaika, salawatu Allah alaika


Us jahan se jab safar ho, roo-e-pak par nazar ho Ye karam Naseer ؒ par ho, us ka sar ho, tera dar ho

Why Screenshot When You Can Download? Get the App for Efficient Storage!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah