Yeh saans paheli kuch bhi nahin Meri zaat akeli kuch bhi nahin
Mujhe apne ishq mein sanam karna Ae mere Kareem ﷺ, karam karna
Ghar aap ka shehar Madine mein Rehte hain mere aaine mein
Chalte hain adam ki dharti par Sunta hoon main aahat seene mein
Jab aahat mein kho jaata hoon Khaak-e-kaf-e-paa ho jaata hoon
Is khaak ko sham-e-haram karna Ae mere Kareem ﷺ, karam karna
Sad shukr ke paaya aap ka gham Main dhoop hoon saaya aap ka gham
Mujhe saari khushiyan aap ne deen Mera kul sarmaya aap ka gham
Jab aap ka gham tarpata hai Rone mein bara lutf aata hai
Meri aankhein aur bhi nam karna Ae mere Kareem ﷺ, karam karna
Jab aadhi raat guzarti hai Seene mein subah utarti hai
Main saara bikhar sa jaata hoon Rehmat mujhe yak jaa karti hai
Rehmat ko rakhna saath mere Urte hi rahein safhaat mere
Tarteeb meri har dam karna Ae mere Kareem ﷺ, karam karna
Jo qadrein, husn-e-hayaat ka hain Aks aap ki taleemaat ka hain
Jitne bhi uloom hain duniya mein Sab tarjuma aap ki zaat ka hain
Parha aap ko jab Quran parha Islam parha imaan parha
Mere ilm ko mustahkam karna Ae mere Kareem ﷺ, karam karna
Mahshar ka jab hangama ho Naaton ka sar pe amama hoon
Dekhe jo Khuda aamaal mere Har ik se juda, mera naama ho
Tere zikr ki mohrein hon lab par Meri jitni saansein hon sab par
Bas apna naam raqam karna Ae mere Kareem ﷺ, karam karna





