Yeh din mere Nabi ki paidaish ka din hai Yaani Khuda ki takmeel-e-khwahish ka din hai
Rehmat-e-Haq ka aaj Muhammad ﷺ naam para tha Tehzeeb-o-akhlaq ki afzaish ka din hai
Shahr-e-ilm se aaj zameen aabad hui thi Har aabadi mein jashn-e-danish ka din hai
Poore saal rahe mujh par is din ka saya Barson ki sadiyon ki gunjaish ka din hai
Galiyon bazaron ko roshan karne walo! Roohon aur zehnon ki araish ka din hai
Hashr ke maidan se kuch kam to nahi duniya bhi Aise jiyo jaise har din pursish ka din hai
Lashkar-e-isyaan bhi hai koh-e-zaat ke peeche Be-khabaro apne upar yurish ka din hai
Taqleed-e-Sarkar-e-do aalam ke feete se Apne apne qad ki paimaish ka din hai
Kaash isi din aaye mujh ko maut Muzaffar! Meri lughat mein to yeh din bakhshish ka din hai





