Ya Nabi yaad tori aaye hai O jaan-e-aalam Sultan-e-aalam
Bhar bhar ashk pyaale Dekho bhar bhar ashk pyaale
Aankh bechari chalkaye hai Ya Nabi ﷺ yaad tori aaye hai
Ek jhalak lillah dikha do Roshniyon ka dher laga do
Hijr andhera tarpaye hai Ya Nabi ﷺ yaad tori aaye hai
Ghoom liya sab dard ilaqa Ab to pukaru Aaqa ﷺ Aaqa ﷺ
Neend bhi ab to jagaye hai Ya Nabi ﷺ yaad tori aaye hai
Tore ishq ke hum bhi cheene Ro ro umar ka sawan beete
Paani bhi aag lagaye hai Ya Nabi ﷺ yaad tori aaye hai
Tum ho Muzaffar ka sarmaya Jab se odha tumra saya
Khilta chamakta jaye hai Ya Nabi ﷺ yaad tori aaye hai





