Ya Muhammad ﷺ intekhab-e-Kibriya tum par salam Bekaran tum se mohabbat barha tum par salam
Pesh-e-lafz-e-aab-o-gil, dibacha-e-shaam-o-sahar Bhejti hai roshni khushbu hawa tum par salam
Sarwar-e-aulad-e-Adam, Adamiyat ke ameer Wali-e-afaq, Khatam-ul-Anbiya ﷺ tum par salam
Tum mohabbat tum buzurgi adl tum sachai tum Ae imam-e-ilm, rooh-e-irtiqa tum par salam
Surkhi-e-kun, ibtida-e-waqt, aaghaz-e-hayat Intiha-e-istifa-o-ijtiba tum par salam
Jab tumhara naam loon, lab choomne lag jaaye dil Dil ki har dhadkan ka likhoon martaba tum par salam
Tum ujala hi ujala, mera daaman daagh daagh Mere Aaqa bhej sakta hoon main kya tum par salam
Lafz saare ashk pee kar chand taare ban gaye Jab Muzaffar ne likha likh kar padha tum par salam





