Wahi tabassum wahi tarannum wahi nazakat wahi latafat Wahi hain duzdida si nigahain ke jin se shokhi tapak rahi hai
Gulon ki khushbu mehak rahi hai dilon ki kaliyan chatak rahi hain Nigahain uth uth ke jhuk rahi hain ke ek bijli chamak rahi hai
Yeh mujh ko kehti hai dil ki dhadkan ke dast-e-saqi se jaam le lo Woh daur-e-saghar ka chal raha hai sharab-e-rangeen chalak rahi hai
Yeh main ne mana haseen-o-dilkash samaan yeh masti bhara hai lekin Khushi mein hail hai fikr-e-farda mujhe yeh masti khatak rahi hai
Na jaane kitne fareb khaaye hain rah-e-ulfat mein hum ne Akhtarؔ Par apni mat ko bhi kya karein hum fareb kha kar behak rahi hai





