Jahan-bani ata kardain bhari jannat hiba kardain Nabi mukhtar-e-kul hain jis ko jo chahein ata kardain
Jahan mein un ki chalti hai woh dam mein kya se kya kardain Zameen ko aasman kardain surayya ko sara kardain
Fiza mein udne wale yun na itrayein nida kardain Woh jab chahein jise chahein use farman-rawa kardain
Meri mushkil ko yun aasan mere mushkil-kusha kardain Har ek mauj-e-bala ko mere Maula nakhuda kardain
Munawwar meri aankhon ko mere Shams-ud-Duha kardain Ghamon ki dhoop mein woh sayah-e-zulf-e-duta kardain
Ata ho be-khudi mujh ko khudi meri hawa kardain Mujhe yun apni ulfat mein mere Maula fana kardain
Jahan mein aam paigham-e-Shah-e-Ahmad Raza kardain Palat kar peeche dekhein phir se tajdeed-e-wafa kardain
Nabi se ho jo begana use dil se juda kardain Padar, madar, baradar, maal-o-jaan un par fida kardain
Tabassum se gumaan guzre shab-e-tareek par din ka Ziya-e-rukh se deewaron ko roshan aaina kardain
Kisi ko woh hansate hain kisi ko woh rulate hain Woh yunhi aazmate hain woh ab toh faisla kardain
Gul-e-Taiba mein mil jaaun gulon mein mil ke khil jaaun Hayat-e-jaawani se mujhe yun aashna kardain
Unhein manzoor hai jab tak yeh daur-e-aazmaish hai Na chahein toh abhi woh khatm daur-e-ibtila kardain
Sag-e-awara-e-sehra se ukta si gayi duniya Bachao ab zamane ka sagan-e-Mustafa kardain
Zamana khugar-e-may hai nayi may ki zaroorat hai Pila kar apni nazron se woh tajdeed-e-nasha kardain
Mujhe kya fikr ho Akhtar mere yawar hain woh yawar Balaon ko jo meri khud giraftar-e-bala kardain
Tamanna-e-dil-e-Ashraf bas itni hai sar-e-Kausar Jab Aaqa jaam-e-Kausar dein lab-e-aqdas laga kar dein





