Har nazar kaanp uthay gi mahshar ke din khauf se har kaleja dehal jaayega Par yeh naaz un ke banday ka dekhein ge sab thaam kar un ka daaman machal jaayega
Mauj katra ke hum se chali jaayegi rukh mukhalif hawa ka badal jaayega Jab ishara karein ge woh naam-e-Khuda apna bera bhanwar se nikal jaayega
Yun toh jeeta hoon hukum-e-Khuda se magar mere dil ki hai un ko yaqeenan khabar Haasil-e-zindagi hoga woh din mera un ke qadmon pe jab dam nikal jaayega
Rab-e-sallim woh farmaane waale mile kyun sataate hain aye dil tujhe waswasay Pul se guzrein ge hum wajd karte huay kaun kehta hai paaon phisal jaayega
Akhtar khasta kyun itna be-chain hai tera aaqa shahanshah-e-konain hai Lau laga toh sahi Shah-e-Lolaak se gham musarrat ke saanchay mein dhal jaayega





