Tumhare dar pe jo main baryab ho jaaun Qasam Khuda ki Shaha kamyab ho jaaun
Jo paaun bosah-e-paaye Huzoor kya kehna Main zarrah shams-o-qamar ka jawab ho jaaun
Meri haqeeqat-e-faani bhi kuch haqeeqat hai Maron to aaj khayal aur khwab ho jaaun
Jahan ke qaus-o-qazah se fareb khaaye kyun Main apne qalb-o-nazar ka hijab ho jaaun
Jahan ki bigdi isi aastan pe banti hai Main kyun na waqf-e-dar-e-aanjanab ho jaaun
Tumhara naam liya hai talatum-e-gham mein Main ab to paar Risalat-Ma'ab ho jaaun
Yeh meri doori badal jaaye qurb se Akhtarؔ Agar woh chaahein to main baryab ho jaaun





