Ghair apne ho gaye, jo hamare badal gaye Nazrein badal gayin toh nazare badal gaye
Kis ko sunaiye ga yahan gham ki dastaan Jo gham mein saath dete woh saare badal gaye
Dhoonde se paiye ga na pehli si mastiyan Badli sharab-e-kohna woh pyale badal gaye
Is daur-e-maslihat mein wafa koi shay nahin Gaahe huye hamare toh gaahe badal gaye
Akhtar lagaiye lau Nabi-e-Kareem se Kya fikr-e-ahl-e-dunya jo saare badal gaye





