We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Wahi Rab hai jis ne tujh ko hama-tan karam banaya Hamein bheek mangne ko tera aastaan bataya Tujhe hamd hai Khudaya


Tumhein hakim banaya tumhein qasim-e-ataya Tumhein dafi-e-balaya tumhein shafi-e-khataya Koi tum sa kaun aaya


Woh kunwari pak Maryam wa nafakhtu feehi ka dam Hai ajab nishan-e-azam magar Aamina ka jaya Wahi sab se afzal hai


Yehi bole Sidra wale chaman jahan ke thale Sabhi main ne chhan dale tere paya ka na paya Tujhe Yak ne Yak banaya


Are ae Khuda ke banda koi mere dil ko dhoondo Mere paas tha abhi to abhi kya hua Khudaya Na koi gaya na aaya


Hamein ae Raza tere dil ke pata chala ba-mushkil Dar-e-Rauza ke muqabil woh hamein nazar to aaya Yeh na pooch kaisa paya



Find Your Favorite Lyrics Anytime, Anywhere - Install the App Today!

Get it on Google Play


Kabhi khanda zer-e-lab hai kabhi girya sari shab hai Kabhi gham kabhi tarab hai na sabab samajh mein aaya Na isi ne kuch bataya


Kabhi khak par para hai sar-e-chargh zer-e-pa hai Kabhi pesh-e-dar khara hai sar-e-bandagi jhukaya Tu qadam mein arsh paya


Kabhi zindagi ke arman kabhi marg-e-nau ka khwahan Woh jiya ke marg qurban woh muwa ke zeest laya Kahe rooh haan jalaya


Yeh tasawwurat-e-batil tere aage kya hain Khudaya Teri qudratein hain kamil unhein raast kar Khudaya Main unhein shafi laya

Offline Lyrics Anytime, Anywhere - Download the App Today!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah