Woh kamaal-e-husn-e-Huzoor hai ke gumaan-e-naqsh-e-jahaan nahi Yehi phool Khalid se door hai yehi sham'a hai ke dhuaan nahi
Do jahaan ki behtariyaan nahi ke amaani-e-dil-o-jaan nahi Kaho kya hai woh jo yahaan nahi magar ek nahi ke woh haan nahi
Main nisaar tere kalaam par mili yun toh kis ko zabaan nahi Woh sukhan hai jis mein sukhan na ho woh bayaan hai jis ka bayaan nahi
Bakhuda Khuda ka yehi hai dar nahi aur koi mafarr maqarr Jo wahaan se ho yehi aake ho jo yahaan nahi toh wahaan nahi
Tere aage yun hain dabe lache fusaha-e-Arab ke bade bade Koi jaane munh mein zabaan nahi, balkay jism mein jaan nahi
Woh sharaf ke qata hain nisbatein woh karam ke sab se qareeb hain Koi keh do yaas-o-umeed se woh kahin nahi woh kahaan nahi
Yeh nahi khuld na ho nik-o woh nikoi ki bhi hai aabroo Magar ae Madinah ki aarzoo jisay chaahay toh woh samaan nahi





