Woh bashar jis ke tasawwur se qawi imaan ho Kaun hai un ke siwa jo bolta Quran ho
Shaam-e-hasti mein jalein husn-e-aqeedat ke charagh Roshni subh-e-jahan mein naat ka faizan ho
Phir ata ho jayein qalb-o-jaan ko woh sarshariyan Phir mere Aaqa ﷺ hazoori ka koi saman ho
Yeh zameen kya aasmanon mein bhi hon jis ke wazir Ghair mumkin hai ke ab aisa koi Sultan ho
Zeb-e-tan un ke na ho kyon kar imamat ki qaba Jin ka har irshad-e-pak Allah ka farman ho
Mazhar-e-zaat-o-sifaat-e-Haq Ta'ala hain Huzoor ﷺ Kyon na un ke husn se zahir Khuda ki shaan ho
Zikr-e-ausaf-e-Nabi ﷺ Shahzad aksar keejiye Shayad is tarah se kuch shukrana-e-ehsan ho