Zat-e-Qadeem sahib-e-har fakhr-o-naaz hai Sattar hai Samad hai wahi be-niyaaz hai
Rehta hai meherbaan do aalam pe har ghari Mera Khuda Kareem hai, banda-nawaaz hai
Jhukte hain uske aage malak bhi Rasool bhi Saara usi ke waaste aajz-o-niyaaz hai
Naghma-sara-e-hamd hai baarish ki boond boond Dast-e-saba mein uski aqeedat ka saaz hai
Jalwa-gari usi ki hai Nargis ki aankh mein Uske karam se kaakul-e-sumbul daraaz hai
Woh kholta hai gumbad-e-be-dar mein khidkiyan Duniya mein uska lutf bila-imtiyaaz hai
Karta hai roz ek nayi shaan se zuhoor Yeh ikhtilaf-e-subh-o-masa uska raaz hai
Ma'bood hai Majeed-o-Mu'een-o-Mughees bhi Mushkil-kusha wahi hai wahi kaar-saaz hai
Iyyaaka na'budu kahein Iyyaaka nasta'een Me'raaj-e-bandagi ka zariya namaz hai
Larzaan hain arz-o-koh-o-falak uske saamne Allah ka kalaam bada jaan-gudaaz hai
Anwaar-e-ism-e-zat ki taaseer ke tufail Dil mein hai kaif rooh mein ik ehtizaaz hai
Jab maut hai waseela-e-deedar-e-zat-e-Haq Phir aadmi ko maut se kyun ehtiraaz hai
Rehte hain sada uske khazanon ke munh khule Har lahza us Ghani ka dar-e-jood baaz hai
Paata hai zat-e-Haq se woh taufeeq-e-naat ki Shahzad uske fazl se jo sarfaraaz hai