We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Seerat-o-Surat Mustafaﷺ RoshniVerified

Allama Dr. Muhammad Shehzad Mujadadi

Seerat-o-surat-e-Mustafa ﷺ roshni Mere Aaqa ﷺ ki hai har ada roshni


Un ke alfaaz suraj se rakhshinda-tar Guftagu, harf, lehja, sada roshni


Zulmat-e-dahar mein hai sitara fishan Sarwar-e-Deen ki madh-o-sana roshni


Ek samundar hai Kaaba bhi anwaar ka Sabz gumbad ki hai par juda roshni


Chhat gayin matla-e-dahar se zulmatein Le ke aaye Rasool-e-Khuda ﷺ roshni


Dekh kar dang hai Arsh ki aankh bhi Oarh aayi kuch aisi qaba roshni


Faiz-yab dar-e-Shah-e-Lolaak hain Chand, suraj, sitare, saba roshni



Instant Access to Thousands of Lyrics - Tap to Install!

Get it on Google Play


Bargah-e-Risalat ﷺ se Shahzad ko Ho rahi hai musalsal ata roshni

Stop Wasting Storage - Download Lyrics in Lightweight Text Format!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah