Gar aankh so bhi jaaye toh karta hai apna kaam Dil ko hai ism-e-zaat se kuch aisa iltizam
Tasbeeh khwan hain uske samak ta sama sabhi Har dil mein uski yaad hai har lab pe uska naam
Qumri ke zumre mein hai tamjeed-e-kirdagar Koyal ke lab pe uska tarana hai subh-o-shaam
Masjood-e-khushk-o-tar hai wahi zaat-e-la-shareek Hai bahr-o-bar mein uski ibadat ka ehtimam
Deta hoon isko aayah-e-la-taqnatu se maat Jab bhi mujhe sataye hai mera khayal-e-khaam
Dar-pesh aadmi ko hai laghzish qadam qadam Aata hai thamne ko karam uska gaam-gaam
Mabda har ibtida ka wahi zaat-e-layazal Har intiha ka uski mashiyat pe ikhtitam
Shahzad jiska hami-o-nasir ho khud Khuda Rehta nahi woh shakhs zamane mein be-maraam