Dil ko lazzat-ashna karta hai tu Aasiyon ko ba-safa karta hai tu
Teri rehmat ki koi had hi nahin Naimatein sab ko ata karta hai tu
Doston se hoga tera kya sulook Dushmanon ka jab bhala karta hai tu
Nafs-e-ammarah ko kar de mutma'in Baad-e-sarsar ko saba karta hai tu
Ek bachay ke liye maa baap ko Parwarish ka wasta karta hai tu
Is jahan mein bhej kar apne Rasool Haq-o-batil ko juda karta hai tu
Allah Allah teri shafqat ka kamal Be-wafaon se wafa karta hai tu
Tu faqiron ko bana deta hai shah Badshahon ko gada karta hai tu
Ae meray mushkil kusha meray Kareem! Door mujh se har bala karta hai tu
Markaz-e-umeed teri zaat hai Arz-e-sail ki suna karta hai tu
Jab kaji Shahzad paye nafs mein Us ko seedha Ae Khuda karta hai tu