Tere jalwe hain har jagah har su Aankh ho to faqat hai tu hi tu
Kis kali mein nahin hai rang tera Kis chaman mein nahin teri khushbu
Aaina khuld ka bane yeh jahan Tere bandon mein gar ho teri khu
Teri rahmat se faizyab hai woh Jis ka dil keh raha ho Allah Hu
Jazb aisa mujhe ata farma! Bhool jaayen mujhe yeh kaakh-o-ku
Nahnu min muslimina aslamna Innaka qultana fala tahinu
Mann mein Shahzad ke hai teri lagan Khugar-e-hamd tan ka hai har mu