We've added ads to help keep the platform running and improving for you.

Yeh Hai Eman Ke Hain Baad-e-Khuda Khair-ul-Bashar AfzalVerified

Allama Dr. Muhammad Shehzad Mujadadi

Yeh hai imaan ke hain baad-e-Khuda Khair-ul-Bashar afzal Khuda jaane maqam-e-Mustafa ﷺ hai kis qadar afzal


Lage Sarkar ke qadmon se jo zarre jawaher hain Unhi ke faiz-e-nisbat se huye sang-o-shajar afzal


Fazeelat hai ma'ani aashna unki adaon se Har ek pehlu hai unki zindagi ka sar basar afzal


Hidayat bakhsh sab andaaz hain Shah-e-Madinah ke Hai unka har amal afzal, safar afzal, hazar afzal


Naqoosh-e-pa unhi ke Khizr ko rasta dikhate hain Unhi ka raasta seedha, unhi ki rehguzar afzal


Khuda ka zikr ho jis mein, Nabi ﷺ ki naat ho jis mein Na kyun woh shaam ho pyaari, na kyun ho woh sahar afzal


Parakh lo baat yeh be-shak shariat ki kasauti par Hai Baitullah se mere Nabi ﷺ ka mustaqar afzal



Instant Access to Thousands of Lyrics - Tap to Install!

Get it on Google Play


Mera aaghaz aur anjam hai Shahzad naat unki Hua hai kaam ek mujhse yahi maqdoor bhar afzal

Why Screenshot When You Can Download? Get the App for Efficient Storage!

Get it on Google Play

midhah-logo-grey© 2026 Midhah