Saani-e-Mustafa ﷺ hua na koi Aap jaisa kaheen suna na koi
Aap aate agar na aalam mein Haq se hota hi aashna na koi
Aap ke baad ae sarapa-e-jamal Khalq mein aap sa mila na koi
Us ne ki aap ke huqooq ki baat Kar saka jis ka haq ada na koi
Parh liya jhoom kar durood-o-salam Aur mujh se hui dua na koi
Rehbari un pe khatm hai Shahzad Hoga ab un sa rehnuma na koi