Sab se afzal sab se aala tera naam Sab se behtar sab se baala tera naam
Awwal, aakhir, zaahir, baatin teri shaan Har oonche ki soch se ooncha tera naam
Milti hai taskeen isi se roohon ko Kitna meetha, kitna pyaara tera naam
Shaahid hai har zarra teri qudrat par Likha hai har cheez pe Maula tera naam
Meri har ik rag mein kirnein raqsaan hain Jab se sehan-e-rooh mein chamka tera naam
Jab bhi shaakh-e-nakhl-e-tamanna khushk hui Aas ka baadal ban kar barsa tera naam
Jis ke dil ki aankh khudaya roshan hai Us ne har su roshan dekha tera naam
Us din se ik kaif sa us par taari hai Jis din se Shahzad ne jaana tera naam