Naat-e-Sarkar kahan aur kahan main bekar Sher-goi hai meri un ke karam ka izhar
Zaib deti hai jahan-bani unhein qaumon ko Aap jaisa ho jin aqwaam ka meer-o-sardar
Jab se dekha hai woh khursheed-e-nabuwwat main ne Tab se rehta hai mera bakht hamesha bedaar
Kaash aajaye mayassar woh shifa-bakhsh fiza Jis mein paate hain sukoon saare jahan ke bimar
Aap ke lutf-o-ata, jud-o-sakha ne todi Nafrat-o-jabr-e-jafa, jaur-o-sitam ki deewar
Aur jachta hi nahi koi qasam se us ko Koi kar leta hai jab aap ke rukh ka deedar
Chand hai aap ka khadim to hai khursheed ghulam Aap ke hukm pe chalte hain jibaal-o-ashjaar
Ab to mausool huzoori ka ho paigham mujhe Ab to mil jaye mujhe koi basharat Sarkar
Apne Shahzad ke halaat pe bhi ek nazar Farsh ta arsh kiya aap ko Haq ne mukhtar