Bahar hi par nahin hai mauqoof naat-e-Khair-ul-Wara ka mausam Har ek mahina hai mah-e-midhat, har ek mausam sana ka mausam
Rauf hain woh Raheem hain woh, Habib-e-Rabb-e-Kareem hain woh Woh jab hon mail-e-ba-lutf samjho yahi hai fazl-e-Khuda ka mausam
Woh jin ke naqsh-e-qadam pe chal kar zameer-e-insaan mutmain hai Rawan hai kaun-o-makaan mein un ke amal se rushd-o-huda ka mausam
Mile ijazat to main bhi dekhun woh sabz gumbad woh noori jali Ata ho fasl-e-wisaal Aaqa! ho khatam aah-o-buka ka mausam
Inhi ki daryuza gar hain sadiyan inhi ke adna gada zamane Azal se ta-ba-abad hai mere Nabiﷺ ke jood-o-sakha ka mausam
Abulbashar thay na Ibn-e-Maryamؑ magar woh jalwa-numa thay paiham Raha hai gulzar-e-kun-fakan mein inhi ke izz-o-ala ka mausam
To phir hai Shahzad kaisa khatra riyaz-e-aamal ko khazan ka Faza-e-mahshar mein jabke hoga shafa'at-e-Mustafaﷺ ka mausam