Main ne kaha tu kaun hai? Us ne kaha Rabb-e-Jahan Main ne kaha kya naam hai? Us ne kaha Shah-e-Shahan
Main ne kaha rahmat teri? Us ne kaha hai be-karan Main ne kaha qudrat teri? Us ne kaha har dam ayan
Main ne kaha kya kaam hai? Us ne kaha jud-o-karam Main ne kaha kya shan hai? Us ne kaha fauq-e-azguman
Main ne kaha kya laaun main? Us ne kaha bas aajizi Main ne kaha main kya karoon? Us ne kaha mera bayan
Main ne kaha tera pata? Us ne kaha qalb-e-hazein Main ne kaha rakht-e-safar? Us ne kaha azm-e-jawan
Main ne kaha main kya banoon? Us ne kaha banda mera Main ne kaha khidmat hai kya? Us ne kaha aah-o-fughan
Main ne kaha sail hoon main? Us ne kaha kuch maang le Main ne kaha teri raza? Us ne kaha dedi hai haan
Main ne kaha zaat-e-Nabi ﷺ? Us ne kaha maqsood-e-kul Main ne kaha Kaaba hai kya? Us ne kaha mera nishan
Main ne kaha Shahzad ka? Us ne kaha sab theek hai Main ne kaha mahshar ke din? Us ne kaha doon ga aman