Ya Ilahi be-kason ka aasra tu hi tu hai Sarbulandi ki hadon ka muntaha tu hi tu hai
Tere husn-e-khalq ka mazhar hain yeh shams-o-qamar Jis ki har takhliq thehri dilruba tu hi tu hai
Mere dil ke waswase bhi tujh se posheeda nahin Mujh se barh kar hai jise mera pata tu hi tu hai
Teri janib hai tawajjah jism-o-jaan-o-rooh ki Mere Maula! marja-e-harf-e-dua tu hi tu hai
Tere ausaf-o-mahasin ka bayan mumkin hi nahin Mere har hamd-o-sana se mawara tu hi tu hai
Ban gaya Shahzad tere lutf se Abdul Nabi Jis ke bande hain Nabi woh Zul-Ula tu hi tu hai