Uthaa do parda dikha do chehra ke noor-e-bari hijab mein hai Zamana tareek ho raha hai ke mehr kab se naqab mein hai
Jali jali boose us ki paida hai soozish-e ishq-e chashm wala Kabab aaho mein bhi na paaya maza jo dil ke kabab hai
Unhein ki bomaayah-e-saman hai unhein ka jalwa chaman chaman hai Unhein se gulshan mehak rahe hain unhein ki rangat gulab mein hai
Teri jalwa mein hai maah-e Tayyiba hilal har marg-o-zindagi ka Hayaat jaan kaarkab mein hai mamat adda ka daab mein hai
Kharray hain Munkar Nikir sarpar na koi haami na koi yaawar Batado a kar mere paighambar ke sakht mushkil jawab mein hai
Khuda-e-Qahar hai ghazab par khulay hain badkaariyon ke daftar Bacha lo aakar Shafee Mahshar tumhara banda azaab mein hai
Karim aisa mila ke jis ke khulay hain haath aur bhare khazaane Batao ke ay mufliso ke phir kyun tumhara dil iztirab mein hai
Karim apne karam ka sadaqa li-eem be qadr ko na sharma To aur Raza se hisaab lena Raza bhi koi hisaab mein hai





