Us nazar se tumhein bhi hai wabastagi Tum bhi taqleed-e-Shah-e-Rasoolan karo
Reh gayi hai dikhawe ki nisbat tumhein Kash andar se khud ko musalman karo
Deen-o-mazhab numaaish nahin chahte Yun na apni aqeedat ko arzaan karo
Maskh apne ko tum ne bohat kar liya Aaynon ko na ab aur hairan karo
Jo tumhare Nabi ﷺ ne diye hain tumhein Un usoolon se aaraish-e-jaan karo
Raaste ka andhera bhi chhat jaye ga Deeda-o-dil to apne farozan karo
Phir sajana, diye tum dar-o-baam par Apne seenon mein pehle charaghaan karo
Boo har ik saans se aaye imaan ki Har musalman ho tasveer Quran ki





