Is mubarak maa pe sadqa kyun na hon sab ahl-e-deen Jo ho Umm-ul-Momineen bint-e-Ameer-ul-Momineen
Jin ka pehlu ho Nabi ki aakhri aaram-gaah Jin ke hujre mein qayamat tak Nabi hon jaagazeen
Aastaan un ka farishton ki ziyarat-gaah hai Kyunke is mein jalwa-farma hain Imam-ul-Mursaleen
Aap ke daulat-kadah mein daulat-e-darain hai Is zameen par phir na kyun qurbaan ho arsh-e-bareen
Kya mubarak naam hai aur kaisa pyara hai laqab Aisha mahbooba-e-mahboob-e-Rabb-ul-Aalameen
Aap Siddiqa, pidar Siddiq aur shauhar Nabi Maika o susraal a'ala, aap khud hain behtareen
Kyun na ho rutba tumhara ahl-e-imaan mein bada Sab to hain momin magar hain aap Umm-ul-Momineen
Di gawahi aap ki iffat ki Surah-e-Noor ne Madh karta hai teri ismat ki Quran-e-Mubeen
Un ke bistar mein wahi aaye Rasool-Allah par Aur salam-e-khadimaana bhi karein Rooh-ul-Ameen
Aap ka ilm o fiqh, tehqeeq-e-Quran o hadees Dekh kar hairan hain saare sahaba, taabieen
Naaz-bardari tumhari kyun na farmave Khuda Naazneen-e-Haq Nabi hain, tum Nabi ki naazneen
Aayat-e-tat-heer mein hai in ki paaki ka bayaan Hain ye Bibi Taahira, shauhar Imam-ut-Taahireen
Saalik-e-khasta tumhara go hai na-laiq magar Maa bure bete ko apne se juda karti nahin





