Umeedein jaagti hain dil hain zinda ghar salamat hain Teri dehleez ke sadqay hamaray sar salamat hain
Daraaron ko bhi teri rehmaton ne baandh rakha hai Faza kitni shikasta hai magar manzar salamat hain
Qayamat tak Muhammad ﷺ Mustafa ke saath rehna hai Faqat us aasray par us tawaqqo par salamat hain
Hamari masjidein bhi derh derh eenton pe hain qaim Kalas, meenaar, gumbad gir gaye mimbar salamat hain
Hamari rooh sheesha aur yeh sheesha reza reza hai Hamaray jism patthar, aur yeh patthar salamat hain
Hamein bhi sahib-e-meraj urnay ki sakat de de Hamari himmatein tooti hain lekin par salamat hain
Hamein taufeeq de hum aur izafa kar sakein dukh mein Hamaray dushmanon ko dukh hai hum kyonkar salamat hain
Nigal sakta hai jab Firon ko darya meray Aaqa ﷺ To phir kyon ghairat-e-imaan ke saudagar salamat hain
Meray jazbaat ke peechay Muzaffar unki taqat hai Main kaisay toot jaaun woh meray andar salamat hain





