Tumhein chaha hai sarsath saal abhi toh Yeh dhadkan chalte chalte ruk gayi toh
Banam-e-zindagi kya tum se maangoon Bohat hi mukhtasar hai zindagi toh
Alihda ho ke qadmon se tumhare Bohat hi gir gaya hai aadmi toh
Charagh-e-rah hai saya tumhara Adam tak jaye gi yeh roshni toh
Lahu ki aag par daalo na paani Riyazat ka safar hai tishnagi toh
Hamesha se faqeer-e-Mustafa ﷺ hoon Azal se hain yeh aankhein bhik mangi toh
Jamal-e-Mustafa ﷺ dam bhar thahar ja Nazar ke jaam khaali hain abhi toh
Jabhi toh khubsurat lag raha hoon Mera husn-e-nazar hain Aap ﷺ hi toh
Bartne par Muzaffar munhasir hai Yeh duniya bhi hai kehne ko buri toh





