Tumhari aahat se zehen jaage Nigaah jaaye na tum se aage Hain khatm saari hudood tum par Salaam tum par durood tum par
Tumhara jalwa khameer-e-Aadam Tum aasman-o-zameen ke sangam Tumhari aamad Kamaal-e-Izad Tumhare andar tamam aalam Tumhari mannoon har ghari hai Abad ko ghere hue khari hai Imaarat-e-hast-o-bood tum par Salaam tum par durood tum par
Khuda ke izhaar ki zabaan tum Hamare aur us ke darmiyaan tum Khuda ko pyaari Ada tumhari Jahan jahan woh wahan wahan tum Har ek takhleeq ki bana ho Tum us haqeeqat ka aaina ho Khula dar-e-har shuhood tum par Salaam tum par durood tum par
Rasool saare imaam saare Tumhare dar ke ghulaam saare Tumhari hasti Hai sab ki basti Tumhare saail nizaam saare Hain jis ke qabze mein sab khazaane Kiya usi Khaaliq-e-Ula ne Har ek shay ka durood tum par Salaam tum par durood tum par
Chali thin dil se babool le kar Duayein lauti hain phool le kar Main hashr tak ka Raees thehra Khuda se hub-e-Rasool le kar Khataon ko rehmatein nawaazein Nisaar tum par meri namaazein Fida qayam-o-sujood tum par Salaam tum par durood tum par





