Tumhare rukh ke jalvon se munawwar ho gaya aalam Magar kyunkar ghata gham ki mere dil se nahin chhutti
Karoon akhtar-shumari intezar-e-subh mein kab tak Ilahi hai yeh kaisi raat ke kaate nahin kat-ti
Na ghabra haadsat-e-dahr se itna mere hamdam Yeh duniya hai kabhi yeh ek halat par nahin datti





