Tumhara karam Ya Habib-e-Khuda hai Madine ki janib chala qafila hai
Main rah-e-Madinah ke qurban jaaun Ke is mein suroor aur maza hi maza hai
Madine mein "Qufl-e-Madinah" lagaaun Karam aap kije iradah mira hai
Ibadat se khali hai aamal-namah Siwa aansuon ke mere paas kya hai
Na kyun tum pe itraye mujrim tumhara Yahan to adu bhi aman pa raha hai
Nahin janta yeh madine ke aadaab Yeh tera hai tera bhala ya bura hai
Mujhe dijiye ashkbar aankh Aaqa Yeh dil sakht, patthar se bhi ho gaya hai
Pila de chalakta hua jaam-e-ulfat Nazar teri janib lagi saqiya hai
Madad ke liye nakhuda aaiye ab Safinah hamara bhanwar mein phansa hai
Shaha qafile ke sabhi zairon ne Mere saath ahd-e-wafa kar liya hai
Tumhein laaj ahd-e-wafa ki rakhoge Ke Iblees-e-mardood peeche laga hai
Shafa'at ki khairat lene ko Attar Liye qafilah anqareeb aa raha hai





