Mujhe dar pe phir bulana Madani Madine wale May-e-ishq bhi pilana Madani Madine wale
Meri aankh mein samana Madani Madine wale Bane dil tera thikana Madani Madine wale
Jab teri deed hogi tab meri eid hogi Mere khwab mein aana Madani Madine wale
Mujhe sab sata rahe hain mera dil dukha rahe hain Tumhi hausla barhana Madani Madine wale
Mere sab aziz chhute sabhi yaar bhi to ruthe Kahin tum na ruth jana Madani Madine wale
Main agarche hoon kamina tera hoon Shah-e-Madinah Mujhe qadmon mein bithana Madani Madine wale
Tera tujh se hoon sawali shaha pherna na khali Mujhe apna tum banana Madani Madine wale
Yeh karam bada karam hai tere hath mein bharam hai Sar-e-hashr bakhshwana Madani Madine wale
Teri saadgi pe lakhon teri aajizi pe lakhon Hon salam aajizana Madani Madine wale
Mile naz'a mein bhi rahat, rahoon qabr mein salamat Tu azaab se bachana Madani Madine wale
Tere gham mein kash Attar rahe har ghari giraftar Gham-e-maal se bachana Madani Madine wale





