Bula lo phir mujhe ae Shah-e-bahr-o-bar Madine mein Main phir rota hua aaun tere dar par Madine mein
Main pahunchun kuye janan mein gareban chaak seena chaak Gira de kaash mujh ko shauq tadpa kar Madine mein
Madine jaane walo jao, jao fi aman-illah Kabhi to apna bhi lag jaayega bistar Madine mein
Salam-e-shauq kehna haajiyo mera bhi ro ro kar Tumhein aaye nazar jab Rauza-e-Anwar Madine mein
Madine jab main pahunchun kaash aisa kaif taari ho Ke rote rote gir jaaun ghash kha kar Madine mein
Na ho mayoosi diwano pukare jao tum un ko Bulayenge tumhein bhi ek din zaroor Madine mein
Madinah is liye Attar jaan-o-dil se pyaar hai Ke rehte hain mere Aaqa mere dilbar Madine mein





