Madinah Madinah hamara Madinah Hamein jaan-o-dil se hai pyara Madinah
Suhana suhana dil-aara Madinah Har aashiq ki aankhon ka tara Madinah
Yeh har aashiq-e-Mustafa keh raha hai Hamein toh hai jannat se pyara Madinah
Yeh rangeen fazaayein yeh mehki hawaayein Mu'attar mu'anbar hai saara Madinah
Madine ke jalwon ke qurbaan jaaun Hai qudrat ne kaisa sanwara Madinah
Bula lijiye ab toh qadmon mein Aaqa Dikha dijiye ab toh pyara Madinah
Ziya-o-Peer-o-Murshid ke sadqe mein Aaqa Yeh Attar aaye dobara Madinah





