Kya sabz sabz gumbad ka khoob hai nazara Hai kis qadar suhana kaisa hai pyara pyara
Anwar yaan chhama chham barsayein abr paiham Purnoor sabz gumbad purnoor har manara
Pesh-e-nazar ho har dam bas sabz sabz gumbad Dil mein basa rahe bas jalwa sada tumhara
Saaye mein sabz gumbad ke todne bhi do dam Chara garo! Khudara koi karo na chara
Ghaus-ul-Wara ka sadqa aisa de apna gham bas Rotay huay hi guzray Sarkar! Waqt sara
Seena banay Madinah dil mein basay Madinah Yaadon mein apni rakhiye gum Ya Nabi! Khudara
Mat chhoriye mujhe ab duniya ki thokaron par Bas aap hi ke tukron par ho mera guzara
Sarkar! Hubb-e-duniya dil se meray nikalo Deewana ab banalo! Apna mujhe Khudara
Tarpa karoon sada main aye kaash! Tere gham mein Haaye! Mujhe zamanay ke ranj-o-gham ne mara
Girya kunan hain Ya Rab! Shauq-e-Madinah mein jo Taybah ka kaash! Woh bhi kar lein kabhi nazara
Ranj-o-alam ke badal saray hi chhat gaye hain Jab bhi tarp ke hum ne Sarkar ko pukara
Thukra day jis ko duniya us ko galay lagana Yeh kaam hai tumhara Ya Mustafa! Tumhara
Taybah mein ab to mujh ko do gaz zameen dedo Kab tak phiroon main dar dar Sarkar mara mara
De do Baqi de do, mujh ko Baqi de do Kardo sawal poora pyaray Nabi Khudara
Hain Mustafa madadgar aye dushmanon khabardar! Yeh mat samajhna hami koi nahin hamara
Hai dushmanon ne ghera lillah koi phera Ya Mustafa! Khudara ab aake do sahara
Karde adu ko gharat, hasid ko de hidayat Poori ho qalb-e-muztar ki arz Kirdgara
Zalim dara rahay hain, aankhein dikha rahay hain Aqa! Do jald aakar Attar ko sahara





