Jidhar dekhun Madine ka haram ho Karam aisa Shahanshah-e-Umam ho
Kahan sarkar daulat mangta hoon Madine ka ata mujh ko to gham ho
Jab Aqa aakhiri waqt aaye mera Mera sar ho tera bab-e-karam ho
Kare parwaz rooh-e-muztarib yun Tere darbar mein sar mera kham ho
Baqi-e-pak ki lillah ab to Ijazat marhamat Shah-e-Haram ho
Jo meethe Mustafa ke gham mein roye Na kyon meri nazar mein mohtaram ho
Hamare hal-e-dil se tum to waqif Khudawand-e-do alam ki qasam ho
Andhera lahad mein hai aah! chhaya Mere Noor-e-Khuda chashm-e-karam ho
Ise kya khauf-e-mahshar ho ki jis ka Tere dast-e-shafa'at mein bharam ho
Mita sakta nahin koi bhi is ko Ki hami jis ka khud Shah-e-Umam ho
Gham-e-mehboob mein roti rahe jo Mujhe ya Rab ata woh chashm-e-nam ho
Shaha jitne bhi diwane hain tere Kisi ka jazba-e-ulfat na kam ho
Jo tum chaho yaqinan door mujh se Shaha aqba ka har ranj-o-alam ho
Kare aankhon se sail-e-ashk jari Ata hijr-e-Madina ka woh gham ho
Sada karta rahoon sunnat ki khidmat Mera jazba kisi surat na kam ho
Karen islami behnein shar'i parda Ata un ko haya Shah-e-Umam ho
Dikha do sabz gumbad ki baharein Shaha Attar par ab to karam ho





