Tum se jo gurezan hai Farzana woh deewana Shaida jo hua tum par deewana woh Farzana
Aaja dil-e-viran mein tera ho yeh kashana Lillah karam farma ae jalwa-e-janana
Aankhon se pila woh maye sarmast rahoon jis se Bhar de mera paimana ae saqi-e-maikhana
Woh abr-e-bahar aaya har shai pe nikhar aaya La jald mere saqi de saghar-o-paimana
Kya raat ke parde se chupke se sahar nikli Ya jan-e-dil aara ne zulfon mein kiya shana
Badkar sahi lekin banda hoon tere dar ka Mehroom na rakh mujh ko ae shan-e-karimana
Yun tham ke daman ko machla hai sar-e-mehshar Dekhe koi Akhtar ka yeh naaz-e-ghulamana





