Tujhe mil gayi khudai Halimah Ke hai god mein Mustafai Halimah
Yeh kya kam hai teri barai Halimah Zamane ke lab par hai "Mai Halimah"
Bahut loriyan deen Maah-e-Aminah ؒ ko Kahan tak hai teri rasai Halimah
Muyassar nahin hai kisi ko jahan mein Woh daulat jo tu ne kamai Halimah
Liya god mein jab Shafi'ul Wara ﷺ ko Bare fakhr se muskurai Halimah
Rasool ﷺ-e-Khuda aur aaghosh us ki Woh khidmat ke lamhe, woh dai Halimah
Jo taqdeer tujh ko ata ki Khuda ne Kisi aur ne kab woh pai Halimah
Use apni aaghosh mein tu liye hai Ke shahi hai, jis ki gadai Halimah
Woh azmat mili hai ke Allahu Akbar Muqaddar ki tere duhai Halimah
Usi ki ziyaon se jagmag hai aalam Mubarak Mah-e-Mustafai Halimah
Naseer ؔ apni qismat pe nazan ho jis dam Mile tere dar ki gadai Halimah





