Tu khud payam-e-jali tha payambar tu na tha Libas mein bashariyat ke tha bashar tu na tha
Har ik sadi ki zaban par mukalama tera Kare ga hashr tak insaan mutalia tera Kitab-e-noor tha, dibacha-e-sahar tu na tha
Tere ghubar-e-qadam se bhi aftab bane Tere usool zamaano ke inqilab bane Tu ahd-saz bhi tha sirf rahbar tu na tha
Riway-e-mashriq-o-maghrib nahi qaba teri Suni hai aur bhi dunyaon ne sada teri Tera wajood faqat is zameen par tu na tha
Jasarat aisi tu Rooh-ul-Amin ne bhi na ki Wahan tu aaj ki science bhi pahunch na saki Tera safar kisi sayyare ka safar tu na tha
Ghamon ki dhoop mein dekha hai main ne chal phir ke Misal-e-abr hai hamrah har musafir ke Jo sath chhod de woh saya-e-shajar tu na tha
Yeh apni shan ke shayan karam kiya tu ne Khuda se wada-e-bakhshish bhi le liya tu ne Gunah-gar Muzaffar se be-khabar tu na tha





