Thay aali martaba sab ambiya awwal se aakhir tak Magar Sarkar sa koi na tha awwal se aakhir tak
Nikal aayen ge hal sab maslon ke chand lamhon mein Hayat-e-Mustafa ko sochna awwal se aakhir tak
Utaray jism-o-jaan par saray mausam-e-shadmani ke Badal di shehar-e-hasti ki fiza awwal se aakhir tak
Jinhein Ummi laqab keh kar zamana yaad karta hai! Wohi hain hamil-e-ilm-e-Khuda awwal se aakhir tak
Farishton ne meri loh-e-amal par roshni rakh di Sana khwan-e-Muhammad likh diya awwal se aakhir tak
Mili hai kasa-e-fan ko mere khairat-e-Taiba se Mira deewan hai un ki ata awwal se aakhir tak
Bahar-e-naat se baagh-e-sukhan lehka Sabih aisa Taro-taza rahi fasl-e-nawa awwal se aakhir tak





