Hazir hain tere darbar mein hum Allah karam Allah Deti hai sada yeh chashm-e-nam Allah Allah
Haibat se har ik gardan kham hai har aankh nam hai Har chehre pe hai ashkon se raqam Allah karam Allah karam
Jin logon pe hai inaam tera un logon mein likh de naam mera Mahshar mein mera reh jaaye bharam Allah karam Allah karam
Har saal talab farma mujh ko har saal woh shahar dikha mujh ko Har saal karoon mein tawaf-e-haram Allah karam Allah karam
Meri aane wali sab naslein tere ghar aayen tera dar dekhein Asbaab hon un ko aise baham Allah karam Allah karam
Is wird mein umar kate saari honton pe Sabih rahe jaari Allah karam Allah karam Allah karam Allah karam -





